Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_2a96c598df2faad422436931bc335691, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Zindagani Ko Adam-abaad Le Jaane Laga - Fazil Jamili Poetry In English - Darsaal

Zindagani Ko Adam-abaad Le Jaane Laga

zindagani ko adam-abaad le jaane laga

har guzarta din kisi ki yaad le jaane laga

ek mahfil se uThaya hai dil-e-nashad ne

ek mahfil mein dil-e-nashad le jaane laga

kis taraf se aa raha hai karwan asbab ka

kis taraf ye KHanuman-barbaad le jaane laga

ek sitara mil gaya tha raat ki tamsil mein

aasmanon tak meri fariyaad le jaane laga

main hi apni qaid mein tha aur main hi ek din

kar ke apne aap ko aazad le jaane laga

(1113) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zindagani Ko Adam-abaad Le Jaane Laga In English By Famous Poet Fazil Jamili. Zindagani Ko Adam-abaad Le Jaane Laga is written by Fazil Jamili. Read famous Poem Zindagani Ko Adam-abaad Le Jaane Laga for youth and Student by Fazil Jamili. Free Download Zindagani Ko Adam-abaad Le Jaane Laga in PDF.