Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_d8b8e0ae91edcfd611be45e214999b17, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
SuKHan Jo Usne Kahe The Girah Se Bandh Liye - Fazil Jamili Poetry In English - Darsaal

SuKHan Jo Usne Kahe The Girah Se Bandh Liye

suKHan jo us ne kahe the girah se bandh liye

KHayal usi ke the sau sau tarah se bandh liye

wo ban-sanwar ke nikalti to chheDti thi saba

phir us ne baal hi apne saba se bandh liye

mile baghair wo hum se bichhaD na jae kahin

ye waswase bhi dil-e-mubtala se bandh liye

hamare dil ka chalan bhi to koi Thik nahin

kahan ke ahd kahan ki faza se bandh liye

wo ab kisi bhi wasile se hum ko mil jae

so hum ne apne irade dua se bandh liye

main ek thaka hua insan aur kya karta

tarah tarah ke tasawwur KHuda se bandh liye

(1241) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

SuKHan Jo Usne Kahe The Girah Se Bandh Liye In English By Famous Poet Fazil Jamili. SuKHan Jo Usne Kahe The Girah Se Bandh Liye is written by Fazil Jamili. Read famous Poem SuKHan Jo Usne Kahe The Girah Se Bandh Liye for youth and Student by Fazil Jamili. Free Download SuKHan Jo Usne Kahe The Girah Se Bandh Liye in PDF.