Shauqin Mizajon Ke Rangin Tabiat Ke
shauqin mizajon ke rangin tabiat ke
wo log bula lao namkin tabiat ke
dukh-dard ke peDon par ab ke jo bahaar aai
phal phul bhi aae hain ghamgin tabiat ke
KHairaat mohabbat ki phir bhi na mili hum ko
hum lakh nazar aae miskin tabiat ke
ab ke jo nashebon mein parwaz hamari hai
hum kaun se aise the shahin tabiat ke
dekhi hai bahut hum ne ye film talluq ki
kuchh bol takalluf ke kuchh scene tabiat ke
is umr mein milte hain kab yar nashe jaise
daru ki tarah tikhe kokin tabiat ke
ek umr to hum ne bhi bharpur guzari hai
do-chaar muKHalif the do-tin tabiat ke
tum bhi to miyan 'fazil' apni hi tarah ke ho
din-dar zamane ke be-din tabiat ke
(3022) Peoples Rate This