Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_9d8030aaa2782283e2ab6ac67c43e139, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Milne Ka Bhi AaKHir Koi Imkan Banate - Fazil Jamili Poetry In English - Darsaal

Milne Ka Bhi AaKHir Koi Imkan Banate

milne ka bhi aaKHir koi imkan banate

mushkil thi agar koi to aasan banate

rakhte kahin khiDki kahin gul-dan banate

diwar jahan hai wahan dalan banate

thoDi hai bahut ek masafat ko ye duniya

kuchh aur safar ka sar-o-saman banate

karte kahin ehsas ke phulon ki numaish

KHwabon se nikalte koi wijdan banate

taswir banate jo hum is shoKH-ada ki

lazim tha ki muskan hi muskan banate

us jism ko kuchh aur sameTa hua rakhte

zulfon ko zara aur pareshan banate

kuchh din ke liye kaam se fursat hamein milti

kuchh din ke liye KHud ko bhi mehman banate

do jism kabhi ek badan ho nahin sakte

milti jo koi ruh to yak jaan banate

(1073) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Milne Ka Bhi AaKHir Koi Imkan Banate In English By Famous Poet Fazil Jamili. Milne Ka Bhi AaKHir Koi Imkan Banate is written by Fazil Jamili. Read famous Poem Milne Ka Bhi AaKHir Koi Imkan Banate for youth and Student by Fazil Jamili. Free Download Milne Ka Bhi AaKHir Koi Imkan Banate in PDF.