Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_de8f526a7218027880d30961bb9b9a62, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
KHwab Mein Dekh Raha Hun Ki Haqiqat Mein Use - Fazil Jamili Poetry In English - Darsaal

KHwab Mein Dekh Raha Hun Ki Haqiqat Mein Use

KHwab mein dekh raha hun ki haqiqat mein use

main kabhi dekh nahin sakta musibat mein use

wo mera yar-e-tarah-dar ki KHush-fahm bhi hai

koi dhoka hi na de jae mohabbat mein use

zindagi ho to kai kaam nikal aate hain

yaad aaunga kabhi main bhi zarurat mein use

ek talluq tha ki shishe ki tarah TuT gaya

joD sakta hi nahin main kisi surat mein use

aaj tak jism mera TuT raha hai 'fazil'

main ne dekha tha kabhi nind ki haalat mein use

(1273) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHwab Mein Dekh Raha Hun Ki Haqiqat Mein Use In English By Famous Poet Fazil Jamili. KHwab Mein Dekh Raha Hun Ki Haqiqat Mein Use is written by Fazil Jamili. Read famous Poem KHwab Mein Dekh Raha Hun Ki Haqiqat Mein Use for youth and Student by Fazil Jamili. Free Download KHwab Mein Dekh Raha Hun Ki Haqiqat Mein Use in PDF.