KHizan Ka Rang DaraKHton Pe Aa Ke BaiTh Gaya
KHizan ka rang daraKHton pe aa ke baiTh gaya
main tilmila ke uTha phaDphaDa ke baiTh gaya
kisi ne jam uchhaala ba-nam-e-sham-e-alam
koi malal ki wahshat chhupa ke baiTh gaya
mila na jab koi mahfil mein ham-nashini ko
main ek KHayal ke pahlu mein ja ke baiTh gaya
purane yar bhi aapas mein ab nahin milte
na jaane kaun kahan dil laga ke baiTh gaya
mile baghair bichhaDne ko kya kaha jae
bas ek KHalish thi jise main nibha ke baiTh gaya
main apne aap se aage nikalne wala tha
so KHud ko apni nazar se gira ke baiTh gaya
kise KHabar thi na jaegi dil ki virani
main aainon mein bahut saj-saja ke baiTh gaya
(1505) Peoples Rate This