Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_85a703873ee684dc9056ce3da2191052, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Apne Hone Ke Jo Aasar Banane Hain Mujhe - Fazil Jamili Poetry In English - Darsaal

Apne Hone Ke Jo Aasar Banane Hain Mujhe

apne hone ke jo aasar banane hain mujhe

jaane kitne dar-o-diwar banane hain mujhe

KHud ko rakhna bhi nahin jins-e-giran ki surat

bikne walon ke bhi mear banane hain mujhe

tere qadmon mein bichhane hain zamini raste

aur apne liye kohsar banane hain mujhe

apne jaisa koi dushman bhi zaruri hai bahut

tere jaise bhi kai yar banane hain mujhe

silsila TuT na jae meri wahshat ka kahin

naqsh qadmon ke lagatar banane hain mujhe

tu kabhi dhup mein nikle bhi to chhanw mein rahe

raste aur bhi chhitnar banane hain mujhe

main rahun ya na rahun teri kahani to rahe

apne jaise kai kirdar banane hain mujhe

(993) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apne Hone Ke Jo Aasar Banane Hain Mujhe In English By Famous Poet Fazil Jamili. Apne Hone Ke Jo Aasar Banane Hain Mujhe is written by Fazil Jamili. Read famous Poem Apne Hone Ke Jo Aasar Banane Hain Mujhe for youth and Student by Fazil Jamili. Free Download Apne Hone Ke Jo Aasar Banane Hain Mujhe in PDF.