Ab To Ashkon Ki Rawani Mein Na Rakkhi Jae
ab to ashkon ki rawani mein na rakkhi jae
us ki taswir hai pani mein na rakkhi jae
ek hi dil mein Thahar jaen hamesha ke liye
zindagi naql-e-makani mein na rakkhi jae
zinda rakhna ho mohabbat mein jo kirdar mera
saat-e-wasl kahani mein na rakkhi jae
yun to milte hain sabhi log bichhaDne ke liye
na-gahani ye jawani mein na rakkhi jae
bhul jaana hai to ai dost bhula de mujh ko
yaad ab yaad-dahani mein na rakkhi jae
jab koi ek kashish khinch rahi hai hum ko
kimiya falsafa-dani mein na rakkhi jae
dil bhi thoDa sa subuk-dosh-e-tamanna kar de
kuchh tabiat bhi girani mein na rakkhi jae
(925) Peoples Rate This