Ye Daur Kaisa Hai Ya-ilahi Ki Dost Dushman Se Kam Nahin Hai
ye daur kaisa hai ya-ilahi ki dost dushman se kam nahin hai
KHulus-e-har-rahbar-e-zamana fareb-e-rahzan se kam nahin hai
hua to hai be-naqab koi nazar hai mahrum-e-did phir bhi
naqab se hai siwa tajalli jamal-e-chilman se kam nahin hai
laga ke KHun-e-jigar ka Tika hai samne gham ke sar-ba-sajda
sanam-parasti mein tu bhi ai dil kisi barahman se kam nahin hai
qafas ki hai ab mera Thikana zarur hoga tabah ek din
ki bijliyon ki nazar mein ye bhi mere nasheman se kam nahin hai
misal-e-KHurshid jalwa-gar hai jigar ka har ek dagh-e-taban
nazara kar meri sham-e-gham ka jo subh-e-raushan se kam nahin hai
ye KHushk be-rang KHar fazil mere liye hain gulon se behtar
meri nazar mein mera bayaban kisi ke gulshan se kam nahin hai
(847) Peoples Rate This