Wo Barq Ka Ho Ki Maujon Ke Pech-o-tab Ka Rang
wo barq ka ho ki maujon ke pech-o-tab ka rang
juda hai sab se mere dil ke iztirab ka rang
shaguftagi mujhe zaKHm-e-jigar ki yaad aai
chaman mein dekh ke khilte hue gulab ka rang
kiya na tark agar tark-e-ashiqi ka KHayal
KHarab aur bhi hoga dil-e-KHarab ka rang
laga rahe hain wo nashtar se zaKHm par marham
nigah-e-lutf-e-karam mein bhi hai itab ka rang
ye mai-kada to hai KHud inqalab ki duniya
yahan jamega na duniya ke inqalab ka rang
hawadason se jamal-e-ruKH-e-hayat hai yun
qarib sham ho jis tarah aaftab ka rang
dil-e-tabah ka 'fazil' KHuda hi hafiz hai
ki ab hai aur hi kuchh dard-o-iztirab ka rang
(686) Peoples Rate This