Tohfa-e-gham Bhi Mila Dard Ki Saughat Ke Baad
tohfa-e-gham bhi mila dard ki saughat ke baad
phir bhi dil KHush na hua itni inayat ke baad
umr-bhar DhunDte phirte hi rahe apna wajud
KHud se hum mil na sake un se mulaqat ke baad
main hun jab tak to samajh lijiye sab kuchh hai yahan
kuchh na rah jaega duniya mein meri zat ke baad
kitni tarikiyan guzrin to ujala dekha
husn aaya hai nazar kitne hijabaat ke baad
zindagi teri tawazoa bhi main karta lekin
na bacha kuchh bhi lahu gham ki mudaraat ke baad
hath aae hue lamhat na chhoDo warna
kuchh na hath aaega guzre hue lamhat ke baad
aaega daur-e-masarrat bhi yaqinan 'fazil'
kya nahin hoti hai duniya mein sahar raat ke baad
(850) Peoples Rate This