Mere ZaKHm-e-jigar Ko ZaKHm-e-daman-dar Hona Tha
mere zaKHm-e-jigar ko zaKHm-e-daman-dar hona tha
zara wazeh tumhaare lutf ka izhaar hona tha
dil-e-pur-dagh ki tarikiyon par saKHt hairat hai
ye wo matla hai jis ko matla-e-anwar hona tha
tumhein lena tha pahle jaeza apni nigahon ka
phir us ke baad musa talib-e-didar hona tha
pareshan hain misal-e-gard-gumnami ke sahra mein
bahut aise ki jin ko qafila-salar hona tha
udhar wo aae aankhon mein idhar KHwab-e-ajal aaya
kahan soi hui taqdir ko bedar hona tha
koi dekhe to 'fazil' qabiliyyat baghbanon ki
wahan kanTe hi kanTe hain jahan gulzar hona tha
(782) Peoples Rate This