Hui Dil TuTne Par Is Tarah Dil Se Fughan Paida
hui dil TuTne par is tarah dil se fughan paida
ki jaise shama ke bujhne se hota hai dhuan paida
raha sabit-qadam yun hi agar azm-e-safar apna
karegi KHud rah-e-dushwar hi aasaniyan paida
har ek tamir KHud apni tabahi sath lati hai
na girti barq gar hoti na shaKH-e-ashiyan paida
meri KHwahish ki ek sajda miTa de nam-e-peshani
teri KHwahish ho peshani pe sajdon ka nishan paida
wo jin ki maut par rote hain barson jam-o-paimana
ab aise baada-kash hote hain ai saqi kahan paida
zarurat kya karen hum justaju-e-astan ai dil
salamat zauq-e-sajda aap hoga aastan paida
nazar mein jin ki rangini tabiat mein hai ranai
wo kar lete hain 'fazil' dasht mein bhi gulistan paida
(773) Peoples Rate This