Gulzar Mein Ek Phul Bhi KHandan To Nahin Hai
gulzar mein ek phul bhi KHandan to nahin hai
kuchh aur hai ye daur-e-bahaaran to nahin hai
hai chaak-ba-daman hi tu ai lala-e-KHud-sar
gul teri tarah dagh-ba-daman to nahin hai
achchha hi hua Dub gaya mera safina
ab kashmakash-e-sahil-o-tufan to nahin hai
taqdir ki baat aur hai warna dil-e-muztar
ummid ke bar aane ka imkan to nahin hai
is bar-e-garan ka hai uThana bahut aasan
gham hai kisi kam-zarf ka ehsan to nahin hai
pamal kare kyun koi be-dard ki sabza
begana sahi nang-e-gulistan to nahin hai
qimat mere aansu ki faqat ek tabassum
shabnam ki tarah ye koi arzan to nahin hai
kyun mujh pe nazar hai teri ai gardish-e-dauran
hasti meri duniya mein numayan to nahin hai
kuchh dagh hain kuchh zaKHm hain 'fazil' ke jigar mein
muflis hai magar be-sar-o-saman to nahin hai
(837) Peoples Rate This