Dil Ke Makan Mein Aankh Ke Aangan Mein Kuchh Na Tha
dil ke makan mein aankh ke aangan mein kuchh na tha
jab gham na tha hayat ke daman mein kuchh na tha
ye to zara batao hamein ahl-e-karwan
un rahbaron mein kya hai jo rahzan mein kuchh na tha
zulmat ka jab tilism na TuTa nigah se
raushan hua ki dida-e-raushan mein kuchh na tha
wo to bahaar ka hamein rakhna paDa bharam
warna ye waqia hai ki gulshan mein kuchh na tha
mujh par ba-taur-e-KHas thi us ki nigah-e-lutf
kahta main kis tarah mere dushman mein kuchh na tha
ye bhi durust hai ki nasheman mein barq thi
ye bhi ghalat nahin ki nasheman mein kuchh na tha
'fazil' ruKH-e-hayat pe yun thin masarraten
jaise gham-e-hayat ki uljhan mein kuchh na tha
(759) Peoples Rate This