Bata Ai Zindagi Tere Parastaron Ne Kya Paya
bata ai zindagi tere parastaron ne kya paya
uTha kar naz tere naz-bardaron ne kya paya
wo kanTe hi sahi kuchh to diya hum ko bayaban ne
magar gulshan se phulon ke talab-garon ne kya paya
zara malum to kije KHirad par marne walon se
ki Thukra kar junun ko in ziyan-karon ne kya paya
kaleja tera phaT jaega waiz fart-e-hairat se
bata dun main agar tujh ko gunahgaron ne kya paya
bayaban gham na kar be-faizi-e-abr-e-bahaaran ka
tera daman hai gar KHali to gulzaron ne kya paya
gham-e-hasti gham-e-jaanan gham-e-duniya gham-e-dauran
miTa kar mujh ko 'fazil' in sitam-garon ne kya paya
(842) Peoples Rate This