Bashar Ki Zat Mein Shar Ke Siwa Kuchh Aur Nahin

bashar ki zat mein shar ke siwa kuchh aur nahin

ye baat naqs-e-nazar ke siwa kuchh aur nahin

hayat ki shab-e-tarik KHatm hoti hai

qaza tulu-e-sahar ke siwa kuchh aur nahin

jo dekhiye to kaf-e-gul-farosh bhi hai hayat

ghalat ki daman-e-tar ke siwa kuchh aur nahin

guzar ke had se har ek shai bar-aks hoti hai

kamal-e-aib-e-hunar ke siwa kuchh aur nahin

ye rang jo nazar aata hai chehra-e-gul par

hamare KHun-e-jigar ke siwa kuchh aur nahin

bashar hai jauhar-e-kirdar se garan-maya

guhar mein aab-e-guhar ke siwa kuchh aur nahin

nazar-fareb nazare jahan ke ai 'fazil'

fareb-e-husn-e-nazar ke siwa kuchh aur nahin

(836) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bashar Ki Zat Mein Shar Ke Siwa Kuchh Aur Nahin In English By Famous Poet Fazil Ansari. Bashar Ki Zat Mein Shar Ke Siwa Kuchh Aur Nahin is written by Fazil Ansari. Read famous Poem Bashar Ki Zat Mein Shar Ke Siwa Kuchh Aur Nahin for youth and Student by Fazil Ansari. Free Download Bashar Ki Zat Mein Shar Ke Siwa Kuchh Aur Nahin in PDF.