Ashk Aaya Aankh Mein Jalta Hua
ashk aaya aankh mein jalta hua
aaj soz-e-gham ka andaza hua
zindagi guzri ummid-o-yas mein
dil kabhi gulshan kabhi sahra hua
zikr-e-zulf-e-yar rahne do abhi
masala hai zist ka uljha hua
ban gaya daman mein wo aansu guhar
jo na meri aankh ka tara hua
barha ruk ruk gai nabz-e-jahan
husn ka jadu hai kya chalta hua
gardishon se kya mujhe dega najat
jam KHud gardish mein hai aaya hua
dil wo kya jo gham se ho na-ashna
gham wo kya jis ka ki andaza hua
hum pareshan-haal 'fazil' se mile
hai tabiat ka bahut suljha hua
(850) Peoples Rate This