Ai Kahkashan Guzar Ke Teri Rahguzar Se Hum
ai kahkashan guzar ke teri rahguzar se hum
aage baDhenge aur maqam-e-qamar se hum
azm-e-buland hausla-e-mustaqil liye
guzre har ek marhala-e-saKHt-tar se hum
dekha to hai zamin se tujhe gumbad-e-falak
dekhenge ab zamin ko tere baam-o-dar se hum
jab se hui hai aankh shab-e-gham se aashna
na-ashna hain lazzat-e-KHwab-e-sahar se hum
dil iztirab-o-dard se mahrum ho gaya
baz aae tere lutf-o-karam ki nazar se hum
har taza gham ke waste ja-e-qayam hai
tang aa gae hain wusat-e-qalb-o-jigar se hum
targhib de na ai dil-e-furqat-nasib tu
waqif hain KHub aah-o-fughan ke asar se hum
'fazil' hamara haal bhi hota teri misal
rahte na hoshiyar agar rahbar se hum
(856) Peoples Rate This