Adib Tha Na Main Koi BaDa Sahafi Tha
adib tha na main koi baDa sahafi tha
zamana phir bhi mere fan ka e'tirafi tha
mujhe bhi zahr diya kyun na haq-bayani par
ki ye gunah to na-qabil-e-muafi tha
kisi se ek bhi fitrat ka raaz khul na saka
agarche daur zamane ka inkishafi tha
musibaton ne to nahaq uThain taklifen
mujhe miTane ko mera shabab kafi tha
dil-o-nazar na ulajhte to hal nikal aata
hazar masala-e-did iKHtilafi tha
wo meri rae se to muttafiq tha ai 'fazil'
zarif-kar magar us ka inhirafi tha
(1049) Peoples Rate This