KHak Mein Mujhko Meri Jaan Mila Rakkha Hai

KHak mein mujh ko meri jaan mila rakkha hai

kya main aansu hun jo nazron se gira rakkha hai

ek tumhin ko nahin bechain bana rakkha hai

arsh bhi to mere nalon se hila rakkha hai

sorish-e-hijr ne ek sim-badan ke mujh ko

aisa phunka hai ki iksir bana rakkha hai

ek pari-wash ki inayat ne zamane mein mujhe

waqt ka apne sulaiman bana rakkha hai

apne saya se bhaDak kar kaha us shoKH ne yun

mere allah kise sath laga rakha hai

dil to deta hun meri jaan magar gham hai yahi

mere armanon ne ghar is mein bana rakkha hai

dil ke talib jo hua karte hain aashiq se hasin

to unhen husn ne ye kaam sikha rakkha hai

samne aate hue kis liye sharmate ho

jab meri aankh mein ghar tum ne bana rakkha hai

muft dil ko mere ai barq wash ulfat hai teri

muztarib surat-e-simab bana rakkha hai

teri duz-dida nigahen ye pata deti hain

ki inhin choron ne dil mera chura rakkha hai

mal chori ka nahin jab to bata do mujh ko

tum ne kis chiz ko muTThi mein daba rakkha hai

tum ne kyun dil mein jagah di hai buton ko 'sabir'

tum ne kyun kaba ko but-KHana bana rakkha hai

(728) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHak Mein Mujhko Meri Jaan Mila Rakkha Hai In English By Famous Poet Fazal Husain Sabir. KHak Mein Mujhko Meri Jaan Mila Rakkha Hai is written by Fazal Husain Sabir. Read famous Poem KHak Mein Mujhko Meri Jaan Mila Rakkha Hai for youth and Student by Fazal Husain Sabir. Free Download KHak Mein Mujhko Meri Jaan Mila Rakkha Hai in PDF.