Ye Kya Bataen Ki Kis Rahguzar Ki Gard Hue
ye kya bataen ki kis rahguzar ki gard hue
hum aise log KHud apne safar ki gard hue
najat yun bhi bikharne ke karb se na mili
hue jo aaina sab ki nazar ki gard hue
ye kin dukhon ne cham-o-KHam tamam chhin liya
shua-e-mahr se hum bhi sharar ki gard hue
sab apne apne ufuq par chamak ke thoDi der
mujhe to daman-e-sham-o-sahar ki gard hue
pukaro kah ke hamein chhanw ji na bahlega
bache jo dhup se pa-e-shajar ki gard hue
hamein bhi bolna aata hai phir bhi hain KHamosh
ki hum tere suKHan-e-muKHtasar ki gard hue
dhula sa chehra bhi kuchh mand paD gaya aaKHir
hue na ashk teri chashm-e-tar ki gard hue
sharir-o-tund hawa thi ki rau maani ki
tamam lafz lab-e-mo'tabar ki gard hue
ye rah kitni pur-ashob hai 'faza' na kaho
qalam ki rah chale hum hunar ki gard hue
(868) Peoples Rate This