Wahi Riwayat Gazida-danish Wahi Hikayat Kitab Wali
wahi riwayat gazida-danish wahi hikayat kitab wali
rahi hain bas zer-e-dars tere kitaben pichhle nisab wali
main apne lafzon ko apne fan ke lahu se sarsabz karne wala
mera shuur ijtihad wala meri nazar ehtisab wali
chalo zara doston se mil len kise KHabar is ki phir kab aae
ye subh-e-gulgun KHayal wali ye mushkbu-sham KHwab wali
misal mujh gum-shuda nafas ki hai aisi hi jaise koi bachcha
purane baste mein rakh ke phir bhul jae copy hisab wali
mere liye to tera ilaqa hai shahr-e-mamnua jaisa lekin
khanDar khanDar zindagi ko main ne gali dikha di gulab wali
mere ye afkar tere fikr-o-nazar ki tathir hain meri jaan
main hikmaten tujh ko de raha hun wahi KHuda ki kitab wali
'faza' ki darwesh-e-harf hai dekhna zara us ka bankpan tum
qamis KHurshid-baKHt wali kulah gardun-rikab wali
(1069) Peoples Rate This