Udas Dekh Ke Wajh-e-malal Puchhega
udas dekh ke wajh-e-malal puchhega
wo mehrban nahin aisa ki haal puchhega
jawab de na sakoge palaT ke mazi ko
ek ek lamha wo chubhte sawal puchhega
dilon ke zaKHm dahan mein zaban nahin rakhte
to kis se zaiqa-e-indimal puchhega
kabhi to la ke mila mujh se mere qatil ko
jo sar hai dosh pe tere wabaal puchhega
ye kya KHabar thi ki sine ke dagh lau denge
koi jo mehnat-e-fan ka maal puchhega
tu harf-e-ishq-o-basirat hai lab na si apne
zamana tujh se bhi tera KHayal puchhega
mujhe tarash ke rakh lo ki aane wala waqt
KHazaf dikha ke guhar ki misal puchhega
bana ke phul ki KHushbu phiraegi sadiyon
hawa se kaun rah-e-e'tidal puchhega
ye ek pal jo hai majhul shaKHs ki surat
mizaj-e-agahi-e-mah-o-sal puchhega
yahan tayyun-e-aqdar bhi zaruri hai
KHud apne mushk ki qimat ghazal puchhega
mera qalam abdiyat ki raushni hai 'faza'
is aaftab ko ab kya zawal puchhega
(1303) Peoples Rate This