Tu Hai Mani Parda-e-alfaz Se Bahar To Aa
tu hai mani parda-e-alfaz se bahar to aa
aise pas-manzar mein kya rahna sar-e-manzar to aa
aaj ke sare haqaeq wahimon ki zad mein hain
Dhaalna hai tujh ko KHwabon se koi paikar to aa
tu sahi ek aks lekin ye hisar-e-aina
log tujh ko dekhna chahen barun-e-dar to aa
zaiqa zaKHmon ka yun kaise samajh mein aaega
phenkna hai band pani mein koi patthar to aa
jism-e-KHaki tujh ko shishe ki haweli hi sahi
ai charagh-e-jaan kabhi fanus ke bahar to aa
is jagah aahang mein Dhalti hain dil ki dhaDkanen
aa mere gahwara-e-ehsas ke andar to aa
bar-ha ji mein ye aai umr-e-rafta se kahun
sham hone ko hai ai bhule musafir ghar to aa
(837) Peoples Rate This