Sawal SaKHt Tha Dariya Ke Par Utar Jaana
sawal saKHt tha dariya ke par utar jaana
wo mauj mauj magar KHud mera bikhar jaana
ye kya KHabar tumhein kis rup mein hun zinda main
mile na jism to sae ko qatl kar jaana
paDa hun yaKH-zada sahra-e-agahi mein hunuz
mere wajud mein thoDi si dhup bhar jaana
kabhi to sath ye aasib-e-waqt chhoDega
KHud apne sae ko bhi dekhna to Dar jaana
jo chahte ho sahar ko nai zaban mile
to pichhli shab ke charaghon ko qatl kar jaana
hamare ahd ka har zehn to nahin jamid
kisi daricha-e-ehsas se guzar jaana
'faza' tujhi ko ye saffaki-e-hunar bhi mili
ek ek lafz ko yun be-libas kar jaana
(974) Peoples Rate This