Sarab-e-jism Ko Sahra-e-jaan Mein Rakh Dena
sarab-e-jism ko sahra-e-jaan mein rakh dena
zara si dhup bhi is saeban mein rakh dena
tujhe hawas ho jo mujh ko hadaf banane ki
mujhe bhi tir ki surat kaman mein rakh dena
shikast khae hue hauslon ka lashkar hun
uTha ke mujh ko saf-e-dushmanan mein rakh dena
jadid naslon ki KHatir ye warsa kafi hai
mere yaqin ko hisar-e-guman mein rakh dena
ye mauj ta-ki safine ko garm-rau rakkhe
kuchh aag KHema-e-ab-e-rawan mein rakh dena
bahut tawil hai kale samundaron ka safar
mujhe hawa ki jagah baadban mein rakh dena
main apne zimme kisi ka hisab kyun rakkhun
jo nafa hai use jaib-e-ziyan mein rakh dena
(913) Peoples Rate This