Na Damanon Mein Yahan KHak-e-rahguzar Bandho
na damanon mein yahan KHak-e-rahguzar bandho
misal nikhat-e-gul mahmil-e-safar bandho
is aaine mein koi aks yun na ubhrega
nazar se silsila-e-danish-e-nazar bandho
jo sahiban-e-basirat the be-libas hue
fazilaton ki ye dastar kis ke sar bandho
safir-e-jaan hun hisar-e-badan mein kya Thahrun
chaman-parasto na KHushbu ke baal-o-par bandho
na TuT jae ki nazuk hai rishta-e-anfas
tanab-e-KHema-e-hasti sambhaal kar bandho
kahan har ek shanawar guhar ba-kaf nikla
samundaron se tawaqqo na is qadar bandho
har ek hath mein hai sang sad-hazar-ashob
phir aise waqt mein shaKHon se kyun samar bandho
namak chhiDakte raho ye bhi hai masihai
ye kya zaruri ki marham hi zaKHm par bandho
phire hai kab se pareshan ye zaKHm-KHurda hiran
junun ko dasht se le ja ke apne ghar bandho
gaya wo daur ki jab barf barf the alfaz
girah mein ab ye dahakte hue sharar bandho
adab nahin hai rayazi ka masala yaro
har ek shaKHs pe kyun tohmat-e-hunar bandho
ye sinf aabru-e-fann-e-shairi hai 'faza'
ghazal kaho to mazamin mo'atabar bandho
(972) Peoples Rate This