Mujhe Manzur Kaghaz Par Nahin Patthar Pe Likh Dena
mujhe manzur kaghaz par nahin patthar pe likh dena
haTa kar mujh ko tum manzar se pas-manzar pe likh dena
KHabar mujh ko nahin main jism hun ya koi saya hun
zara is ki wazahat dhup ki chadar pe likh dena
usi ki did se mahrum jis ko dekhna chahun
meri aankhon ko us ke KHwab-gun paikar pe likh dena
isi miTTi ka ghamza hain maarif sab haqaeq sab
jo tum chaho to is jumle ko lauh-e-zar pe likh dena
bahut nazuk hain mere sarw qamat teghzan logo
hazimat KHurdgi meri saf-e-lashkar pe likh dena
kabhi main bhi uDanen bharne wala tha bahut unchi
meri pahchan isi TuTe hue shahpar pe likh dena
sarabon ke safar se tu nahin lauTa 'faza' ab tak
jo KHat likhna to itni baat us ke ghar pe likh dena
(854) Peoples Rate This