Main Hi Ek ShaKHs Tha Yaran-e-kuhan Mein Aisa
main hi ek shaKHs tha yaran-e-kuhan mein aisa
kaun aawara phira kucha-e-fan mein aisa
hum bhi jab tak jiye sarsabz hi sarsabz rahe
waqt ne zahr utara tha badan mein aisa
zindagi KHud ko na is rup mein pahchan saki
aadmi lipTa hai KHwabon ke kafan mein aisa
har KHizan mein jo bahaaron ki gawahi dega
hum bhi chhoD aae hain ek shola chaman mein aisa
log mujh ko mere aahang se pahchan gae
kaun badnam raha shahr-e-suKHan mein aisa
apne mansuron ko is daur ne puchha bhi nahin
paD gaya raKHna saf-e-dar-o-rasan mein aisa
hai tazadon bhari duniya bhi ham-ahang bahut
fasla to nahin kuchh sang o saman mein aisa
waqt ki dhup ko mathe ka pasina samjha
main sharabor raha dil ki jalan mein aisa
tum bhi dekho mujhe shayad to na pahchan sako
ai meri raato mein Duba hun gahan mein aisa
(950) Peoples Rate This