Lahu Hamari Jabin Ka Kisi Ke Chehre Par
lahu hamari jabin ka kisi ke chehre par
ye rup-ras bhi sahi zindagi ke chehre par
abhi ye zaKHm-e-masarrat hai na-shagufta sa
chhiDak do mere kuchh aansu hansi ke chehre par
nawa ki gard hun mujh ko sameT kar le ja
bikhar na jaun kahin KHamushi ke chehre par
is inqilab pe kis ki nazar gai hogi
ghamon ki dhup khili hai KHushi ke chehre par
hazimaton ke kis amboh mein hain gum hum log
koi waqar nahin aadmi ke chehre par
KHarash-e-dard ka aaina hun mujhe dekho
ye bankpan bhi kahan hai kisi ke chehre par
bahut haris hain dida-waran-e-chehra 'faza'
naqab Dal ke chal aagahi ke chehre par
(944) Peoples Rate This