Jurat-e-izhaar Se Rokegi Kya
jurat-e-izhaar se rokegi kya
maslahat mera qalam chhinegi kya
main musafir din ki jalti dhup ka
raat mera dard pahchanegi kya
be-karan hun main samundar ki tarah
mauj-e-shabnam qad mera napegi kya
chal paDa hun sar pe le kar aasman
panw ke niche zamin Thahregi kya
shahr-e-gul ki rahne wali aagahi
mere zaKHmon ki zaban samjhegi kya
chehra chehra aalm-e-be-chehragi
dekh kar bhi zindagi dekhegi kya
main to logo sah lun har patthar ka jabr
waqt ki shishagari sochegi kya
hasraton ki aanch mein is ko tapa
yun badan ki tirgi pighlegi kya
nutq se lab tak hai sadiyon ka safar
KHamushi ye dukh bhala jhelegi kya
kya tawaqqo kor-zehnon se 'faza'
koelon se raushni phuTegi kya
(1004) Peoples Rate This