Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_e589413de8e2efa1ad897c08b745bb81, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jabin Pe Gard Hai Chehra KHarash Mein Duba - Faza Ibn E Faizi Poetry In English - Darsaal

Jabin Pe Gard Hai Chehra KHarash Mein Duba

jabin pe gard hai chehra KHarash mein Duba

hua KHarab jo apni talash mein Duba

qalam uThaya to sar par kulah-e-kaj na rahi

ye shahryar bhi fikr-e-maash mein Duba

jhale hai pankha ye zaKHmon pe kaun aaTh pahar

mila hai mujh ko nafas irtiash mein Duba

ise na kyun teri dildari-e-nazar kahiye

wo neshtar jo dil-e-pash-pash mein Duba

'faza' hai KHaliq-e-subh-e-hayat phir bhi gharib

kahan kahan na ufuq ki talash mein Duba

(903) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jabin Pe Gard Hai Chehra KHarash Mein Duba In English By Famous Poet Faza Ibn E Faizi. Jabin Pe Gard Hai Chehra KHarash Mein Duba is written by Faza Ibn E Faizi. Read famous Poem Jabin Pe Gard Hai Chehra KHarash Mein Duba for youth and Student by Faza Ibn E Faizi. Free Download Jabin Pe Gard Hai Chehra KHarash Mein Duba in PDF.