Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_c63debd74603d6afd8476663d3f27fd9, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ghazal Ke Parde Mein Be-parda KHwahishen Likhna - Faza Ibn E Faizi Poetry In English - Darsaal

Ghazal Ke Parde Mein Be-parda KHwahishen Likhna

ghazal ke parde mein be-parda KHwahishen likhna

na aaya hum ko barahana guzarishen likhna

tere jahan mein hun be-saya abr ki surat

mere nasib mein be-abr barishen likhna

hisab-e-dard to yun sab meri nigah mein hai

jo mujh pe ho na sakin wo nawazishen likhna

KHarashen chehre ki sine ke zaKHm sukh chale

kahan hain naKHun-e-yaran ki kawishen likhna

hum ek chaak hain jo kuza-gar ke hath mein hai

hamara kaam zamane ki gardishen likhna

ba-rah-e-rast koi farz ada nahin hota

wahi sifarishen sunna sifarishen likhna

hua na ye bhi saliqe se zindagi karte

har ek sans ko nakaam koshishen likhna

kahan wo log jo the har taraf se nastaliq

purani baat hui chust bandishen likhna

hunar-waro zara kuchh din ye turfagi bhi sahi

hamare lafzon ko mani ki laghzishen likhna

kabhi jo KHat use likhna 'faza' to rakhna yaad

meri taraf se bhi kuchh nek KHwahishen likhna

(1004) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghazal Ke Parde Mein Be-parda KHwahishen Likhna In English By Famous Poet Faza Ibn E Faizi. Ghazal Ke Parde Mein Be-parda KHwahishen Likhna is written by Faza Ibn E Faizi. Read famous Poem Ghazal Ke Parde Mein Be-parda KHwahishen Likhna for youth and Student by Faza Ibn E Faizi. Free Download Ghazal Ke Parde Mein Be-parda KHwahishen Likhna in PDF.