Chand Sansen Hain Mera RaKHt-e-safar Hi Kitna
chand sansen hain mera raKHt-e-safar hi kitna
chahiye zindagi karne ko hunar hi kitna
chalo achchha hi hua muft luTa di ye jins
hum ko milta sila-e-husn-e-nazar hi kitna
kya pighalta jo rag-o-pai mein tha yaKH-basta lahu
waqt ke jam mein tha shola-e-tar hi kitna
kis KHata par ye uThana paDi raaton ki salib
hum ne dekha tha abhi KHwab-e-sahar hi kitna
hum bhi kuchh der ko chamke the ki bas rakh hue
sach to ye hai ki ram-o-raqs-e-sharar hi kitna
tarz-e-ehsas mein nudrat thi udhar hi kitni
fikr-o-jazabe mein tawazun hai idhar hi kitna
de diye KHusraw-o-shirin ne use moD kai
warna yun fasla-e-tisha-o-sar hi kitna
tera irfan tu kya KHud ko na pahchan saka
tha mera dara-e-ilm-o-KHabar hi kitna
yak qadam besh nahin shab ki masafat lekin
ek TuTe hue tare ka safar hi kitna
ai 'faza' daman-e-alfaz hai ab bhi KHali
tha yahan shaKH-e-maani pe samar hi kitna
(919) Peoples Rate This