Bahut Jumud Tha Be-hauslon Mein Kya Karta
bahut jumud tha be-hauslon mein kya karta
na lagti aag to main jangalon mein kya karta
ek imtihan-e-wafa hai ye umr bhar ka azab
khaDa na rahta agar zalzalon mein kya karta
ho chob gili to aaKHir jalae kaun us ko
main tujh ko yaad bujhe walwalon mein kya karta
meri tamam hararat zamin ka wirsa hai
ye aaftab tere baadalon mein kya karta
ab is qadar bhi taraf-dar main nahin us ka
himayat us ki ghalat-faislon mein kya karta
ye log wo hain jo be-jurm sangsar hue
harif rah ke tere manchalon mein kya karta
main us ke chehre ki rangat nahin jo uD na sakun
sameT kar wo mujhe aanchalon mein kya karta
adab se rabta danish ka jaanta hi nahin
ulajh ke wo bhi mere masalon mein kya karta
na ras aai kabhi mujh ko bazm-e-kam-nazaran
'faza' bhi baiTh ke in pagalon mein kya karta
(930) Peoples Rate This