Aankhon Ke KHwab Dil Ki Jawani Bhi Le Gaya
aankhon ke KHwab dil ki jawani bhi le gaya
wo apne sath meri kahani bhi le gaya
KHam-cham tamam apna bas ek us ke dam se tha
wo kya gaya ki aag bhi pani bhi le gaya
TuTa talluqat ka aaina is tarah
aks-e-nashat-e-lamaha-e-fani bhi le gaya
kuche mein hijraton ke hun sab se alag-thalag
bichhDa wo yun ki rabt-e-makani bhi le gaya
the sab usi ke lams se jal-thal bane hue
dariya muDa to apni rawani bhi le gaya
ab kya khulegi munjamid alfaz ki girah
wo himmat-e-kashud-e-maani bhi le gaya
sar-joshi-e-qalam ko 'faza' chup si lag gai
wo jate jate shola-bayani bhi le gaya
(1065) Peoples Rate This