Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ff23b4dc497261c63aa20030e69fb718, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Tamasha Phir Sar-e-bazar Karna - Fayyaz Tahseen Poetry In English - Darsaal

Tamasha Phir Sar-e-bazar Karna

tamasha phir sar-e-bazar karna

phir apne ahd se inkar karna

yahi hai mashghala kar-e-junun mein

banana phir use mismar karna

fareb-e-arzu hi zindagi hai

sarabon mein safar be-kar karna

jise pane ki KHwahish mein jiye the

usi ki zat ka inkar karna

jazire KHwahishon ki rah mein hain

magar lazim samundar par karna

jise ek umr ki kawish se bhule

usi ki yaad pur-asrar karna

darichon se lagi aankhon ki surat

kabhi chhupna kabhi izhaar karna

abhi ek aaKHiri sach bolna hai

KHushi se phir supurd-dar karna

(871) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tamasha Phir Sar-e-bazar Karna In English By Famous Poet Fayyaz Tahseen. Tamasha Phir Sar-e-bazar Karna is written by Fayyaz Tahseen. Read famous Poem Tamasha Phir Sar-e-bazar Karna for youth and Student by Fayyaz Tahseen. Free Download Tamasha Phir Sar-e-bazar Karna in PDF.