Kabhi Yaad-e-KHuda Kabhi Ishq-e-butan Yunhi Sari Umr Ganwa BaiTha
kabhi yaad-e-KHuda kabhi ishq-e-butan yunhi sari umr ganwa baiTha
ab aaKHir-e-umr mein aa ke khula na thi ye sachchi na tha wo sachcha
kabhi KHwahish-e-duniya le Dubi kabhi KHauf-e-KHuda ne tang kiya
ab aa kar bhed khula hum par na thi ye achchhi na tha wo achchha
sar par gaThri angaron ki aur KHwahish par utarne ki
aage barik sa nazuk pul aur niche aag ka ek dariya
kuchh uqde aise hote hain jo na hi khulen to behtar hai
kuchh baaten aisi hoti hain jinhen dil mein chhupa lena achchha
wo mirza agle waqton ka wo saheban guzre waqton ki
jo karna tha wo kar guzre jo kahna tha wo kah dekha
ajdad kahin tum hal Dalo aur fasl ugao karmon ki
pichhe tariKH ka hanka hai aur aage bail Dara sahma
(822) Peoples Rate This