Ab Aa Gae Ho To Raftagan Ko Bhi Yaad Rakhna
ab aa gae ho to raftagan ko bhi yaad rakhna
bichhaDte lamhon ki dastan ko bhi yaad rakhna
zamin pe apne qadam jama kar na bhul jaana
saron pe Thahre is aasman ko bhi yaad rakhna
hawa-e-tishna ka chhin lena makin-e-jaan ko
magar larazte hue makan ko bhi yaad rakhna
sarab aaKHir meri hi aankhon ka moajaza hai
yaqin ki manzil mein is guman ko bhi yaad rakhna
agarche KHwahish ka aks lafzon mein aa gaya hai
jo chashm-e-tar mein hai is zaban ko bhi yaad rakhna
tujhe KHabar hai ki ibtida bhi hai intiha bhi
jahan-e-mani mein darmiyan ko bhi yaad rakhna
kabhi jo aibon ke tir ghael karen nazar ko
to KHwahishon ki jhuki kaman ko bhi yaad rakhna
(800) Peoples Rate This