Aaj Jaane Ki Zid Na Karo

aaj jaane ki zid na karo

yun hi pahlu mein baiThe raho

aaj jaane ki zid na karo

hae mar jaenge, hum to luT jaenge

aisi baaten kiya na karo

aaj jaane ki zid na karo

tum hi socho zara kyun na roken tumhein

jaan jati hai jab uTh ke jate ho tum

tum ko apni qasam jaan-e-jaan

baat itni meri man lo

aaj jaane ki zid na karo

yun hi pahlu mein baiThe raho

aaj jaane ki zid na karo

waqt ki qaid mein zindagi hai magar

chand ghaDiyan yahi hain jo aazad hain

in ko kho kar meri jaan-e-jaan

umr-bhar na taraste raho

aaj jaane ki zid na karo

kitna masum rangin hai ye saman

husn aur ishq ki aaj mearaj hai

kal ki kis ko KHabar jaan-e-jaan

rok lo aaj ki raat ko

aaj jaane ki zid na karo

yunhi pahlu mein baiThe raho

aaj jaane ki zid na karo

(2686) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaj Jaane Ki Zid Na Karo In English By Famous Poet Fayyaz Hashmi. Aaj Jaane Ki Zid Na Karo is written by Fayyaz Hashmi. Read famous Poem Aaj Jaane Ki Zid Na Karo for youth and Student by Fayyaz Hashmi. Free Download Aaj Jaane Ki Zid Na Karo in PDF.