Na Tum Mere Na Dil Mera Na Jaan-e-na-tawan Meri
na tum mere na dil mera na jaan-e-na-tawan meri
tasawwur mein bhi aa saktin nahin majburiyan meri
na tum aae na chain aaya na maut aai shab-e-wada
dil-e-muztar tha main tha aur thin be-tabiyan meri
abas nadaniyon par aap-apni naz karte hain
abhi dekhi kahan hain aap ne nadaniyan meri
ye manzil ye hasin manzil jawani nam hai jis ka
yahan se aur aage baDhna ye umr-e-rawan meri
(1476) Peoples Rate This