Nikla Jo Chilmanon Se Wo Chehra Aaftabi
nikla jo chilmanon se wo chehra aaftabi
ek aan mein ufuq ka aanchal hua gulabi
ruKH se naqab un ke sarka hua hai kuchh kuchh
diwana kar na Dale ye nim-be-hijabi
sau jam ka nasha hai saqi teri nazar mein
kahte hain baada-kash bhi mujh ko tera sharabi
bekar lag rahi hain duniya ki sab kitaben
dekhi hai jab se main ne surat teri kitabi
murjhae phul sab hain kaliyon ne sar jhukae
gulshan mein ek sitam hai ye teri be-naqabi
kab chain se raha hai ye fikr ka parinda
'fayyaz' ki hai fitrat kis darja iztirabi
(799) Peoples Rate This