Kahani Ho Koi Bhi Tera Qissa Ho Hi Jati Hai
kahani ho koi bhi tera qissa ho hi jati hai
koi taswir dekhun tera chehra ho hi jati hai
teri yaadon ki lahren gher leti hain ye dil mera
zamin ghir kar samundar mein jazira ho hi jati hai
gai shab chand jaisa jab chamakta hai KHayal us ka
tamanna meri ek chhoTa sa bachcha ho hi jati hai
saja hai taj mere sar pe lekin ye nazar meri
jo us ki samt jati hai to kasa ho hi jati hai
jatan karta hun kitne rok lun sailab aankhon mein
magar tamir meri ye shikasta ho hi jati hai
ye socha hai ki tujh ko sochna ab chhoD dunga main
ye laghzish mujh se lekin be-irada ho hi jati hai
jo hai 'fayyaz' us ko dekh kar mabhut hairat kya
taDapti hai jo bijli aankh KHira ho hi jati hai
(873) Peoples Rate This