Koi Aankh Chupke Chupke Mujhe Yun Nihaarti Hai
koi aankh chupke chupke mujhe yun nihaarti hai
mere dil mein ek tamanna kahin sar ubhaarti hai
meri soch ka tariqa meri aankh ka saliqa
yahi shai hai tere andar jo tujhe sanwarti hai
nae shauq ki chamak hai kisi mehman nazar mein
meri ruh mein utar kar mere sar ubhaarti hai
mujhe kuchh dinon se us se baDa pyar mil raha hai
kabhi apne dil ko ware kabhi jaan haarti hai
kabhi juDa khol dena kabhi phir se bandh lena
mujhe shak sa ho chala hai wo mujhe ubhaarti hai
koi gunj ban ke ab tak wo hai jism-o-jaan se lipTi
ki Thahar Thahar ke ab bhi wo mujhe pukarti hai
ghane ho gae ziyaada jahan chandni ke sae
usi daman-e-shajar mein wo mujhe pukarti hai
naya husn dekhta hun KHam-e-shaKH-e-har-shajar par
ye bahaar apne tan se jo libas utarti hai
kai sal ki mohabbat magar aaj bhi wahi hai
ki main ek sharir bachcha wo mujhe sudhaarti hai
baDi der se hun lauTa mujhe ye batao logo
meri aarzu ka daman wo kahan pasarti hai
jo mara hai hadse mein mera us se kya tha rishta
ye saDak jo KHun mein tar hai mujhe kyun pukarti hai
(921) Peoples Rate This