Baghair Naqshe Ke Sare Makan Lagte Hain

baghair naqshe ke sare makan lagte hain

ye jitne ghar hain qaza ki dukan lagte hain

kabhi to sach kabhi bilkul guman lagte hain

nafis log hain jadu-bayan lagte hain

ye Thekedar imarat ke ye zamin wale

gire jo ghar to bahut be-zaban lagte hain

main un mein aaj bhi bachpan talash karta hun

main KHush nahin hun jo bachche jawan lagte hain

wo mera bhai nahin par wo koi war sahe

meri bhi piTh par nile nishan lagte hain

qarib aaen to chhoTa sa qad nikalte hain

ye log dur se kitne mahan lagte hain

(810) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Baghair Naqshe Ke Sare Makan Lagte Hain In English By Famous Poet Fay Seen Ejaz. Baghair Naqshe Ke Sare Makan Lagte Hain is written by Fay Seen Ejaz. Read famous Poem Baghair Naqshe Ke Sare Makan Lagte Hain for youth and Student by Fay Seen Ejaz. Free Download Baghair Naqshe Ke Sare Makan Lagte Hain in PDF.