Achchhi-KHasi Ruswai Ka Sabab Hoti Hai

achchhi-KHasi ruswai ka sabab hoti hai

dusri aurat pahli jaisi kab hoti hai

kuchh mafhum samajh kar aankhen bol uTThin

sargoshi to yunhi zer-e-lab hoti hai

koi masiha shayad us ko chhu guzra

dil ke andar itni raushni kab hoti hai

tare TuT ke daman mein gir jate hain

jab mehman yahan ek duKHtar-e-shab hoti hai

ek be-dagh dupaTTe mein pakiza nur

kitni ujli us ki namaz mein chhab hoti hai

giri paDi dekhi hai saDak par tanhai

pichhle pahar ko shahr ki nind ajab hoti hai

aksar main ne qabristan mein ghaur kiya

apni miTTi apne hath mein kab hoti hai

ab lagta hai ek dil bhi hai sine mein

pahle kuchh taklif nahin thi ab hoti hai

ishq kiya to apni hi nadani thi

warna duniya jaan ki dushman kab hoti hai

qadam qadam par hum ne aap se nafrat ki

aisi mohabbat dil mein kisi ke kab hoti hai

jaise ek jannat ki neamat mil jae

mere liye to ghar ki faza hi sab hoti hai

Dubne wala phir upar aa jata hai

kabhi kabhi dariya ki mauj ghazab hoti hai

rashk se mera chehra takti hai duniya

jaan ki dushman us ki surKHi-e-lab hoti hai

(1063) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Achchhi-KHasi Ruswai Ka Sabab Hoti Hai In English By Famous Poet Fay Seen Ejaz. Achchhi-KHasi Ruswai Ka Sabab Hoti Hai is written by Fay Seen Ejaz. Read famous Poem Achchhi-KHasi Ruswai Ka Sabab Hoti Hai for youth and Student by Fay Seen Ejaz. Free Download Achchhi-KHasi Ruswai Ka Sabab Hoti Hai in PDF.