Aankh Aur Nind Ke Rishte Mujhe Wapas Kar De
aankh aur nind ke rishte mujhe wapas kar de
mere KHwabon ke jazire mujhe wapas kar de
tujh ko manzur nahin mujh ko hai ab bhi manzur
meri qurbat mere bose mujhe wapas kar de
apne mathe ke chamakte hue suraj ki qasam
meri aaankhon ke sawere mujhe wapas kar de
zindagi saya-e-gesu se nikal kar chup hai
meri zanjir ke halqe mujhe wapas kar de
na to parde hain, na gul-dan, na fanus koi
ghar ke KHush-rang saliqe mujhe wapas kar de
putliyan hilti thin japan ki guDiya ki tarah
KHwab aaankhon ke dariche mujhe wapas kar de
ek maKHluq ko jhukna tha mere qadmon par
mere mahkum farishte mujhe wapas kar de
meri qadren mere mazi ki wo sachchi qadren
meri tahzib ke rishte mujhe wapas kar de
mera chehra meri qamat meri azmat ke nishan
meri tariKH ke safhe mujhe wapas kar de
bech dene pe bhi ghar lauT kar aa jate the
wo wafadar parinde mujhe wapas kar de
aa paDi aisi zarurat ki lahu pi jaun
ab mere KHun ke rishte mujhe wapas kar de
kis liye chhin raha hai tu mere ghar ka sukun
mere bachchon ke khilaune mujhe wapas kar de
kaun kahta hai ki jaane de meri lash ko ghar
bas mere KHun ke kapDe mujhe wapas kar de
mil rahi hai mujhe na-karda gunahon ki saza
mere malik mere sajde mujhe wapas kar de
muntashir hain meri bheDen unhen yakja kar lun
mere ruhani wasile mujhe wapas kar de
la idhar, samne la, TuTi hui kashti ko
main salamat hun wo taKHte mujhe wapas kar de
tu jinhen bech ke KHush-haal nahin hota hai
qissa-go aise latife mujhe wapas kar de
khel phir in ke bina khel na rah paega
zid na kar tash ke patte mujhe wapas kar de
(1071) Peoples Rate This