Un Nigahon Ko Ham-awaz Kiya Hai Maine
un nigahon ko ham-awaz kiya hai main ne
tab kahin git ka aaghaz kiya hai main ne
KHatm ho ta-ki sitaron ki ijara-dari
KHak ko mail-e-parwaz kiya hai main ne
aap ko ek nai KHiffat se bachane ke liye
chandni ko nazar-andaz kiya hai main ne
aasmanon ki taraf aur nahin dekhunga
ek nae daur ka aaghaz kiya hai main ne
ruThe logon ko manane mein maza aata hai
jaan kar aap ko naraaz kiya hai main ne
tum mujhe chhoD ke is tarah nahin ja sakte
is talluq pe bahut naz kiya hai main ne
wo jo sadiyon se yahan band paDa tha dekho
shairi ka wahi dar baz kiya hai main ne
sun ke mabhut hui jati hai duniya sari
sher likkhe hain ki ejaz kiya hai main ne
ishq mein nam kamana koi aasan na tha
sare ahbab ko naraaz kiya hai main ne
sirf logon ko batane se tasalli na hui
chand taron ko bhi hamraaz kiya hai main ne
aur bhi honge kai chahne wale lekin
aap ke nam ko mumtaz kiya hai main ne
aasmanon se pare karta hai ab ja ke shikar
tair-e-dil ko wo shahbaz kiya hai main ne
shairon se jo tere baad kabhi ho na saka
kaam wo hafiz-e-shiraaz kiya hai main ne
(881) Peoples Rate This