Hawa Ne Chhin Liya Aa Ke Mere HonTon Se
hawa ne chhin liya aa ke mere honTon se
wo ek git jo main gunguna raha tha abhi
wo ja ke nind ke pahlu mein mujh se chhupne laga
main us ko apni kahani suna raha tha abhi
ki dil mein aa ke naya tir ho gaya paiwast
purana zaKHm main us ko dikha raha tha abhi
baras rahi thi zamin par ajib madhoshi
na jaane kaun fazaon mein ga raha tha abhi
ufuq ke par ye Duba hai kis tarah suraj
yahin pe baiTh ke baaten bana raha tha abhi
uTha ke dhup ne ghar se mujhe nikal diya
main intizar ki shamen jala raha tha abhi
jo sab ko hansne ki talqin karta raha hai
wo mere samne aansu baha raha tha abhi
wo jis ka nam paDa hai KHamosh logon mein
yahan pe lafzon ke dariya baha raha tha abhi
(929) Peoples Rate This